Sunday, 25 December 2016

WEB Development through PHP

WEB Development php se iska  mtlab hai aisi applications ko develop krna (banana) jo internet pe run kar sake Php se. Php(HyperText PreProcessor) ye thoda sa ajeeb hai but Php ek bht powerful tool hai web pages banae ke liye .
Web History :-Web Applications develop karne ke liye pahle CGI(Common gateway interface) use hota tha.CGI html ke saath database applications develop karne ke liye use karte the.CGI mein diff. languages use hoti thi programming languages like C++.Lekin ab CGI use nahi hota CGI ke baad new  technologies aayi jaise PHP ,ASP.net,C#etc.
Php main hum 2 trh se app. develop karte hai
1. With MVC
2.Without MVC
MVC(Model view Controller ) ye large app. develop karne ke liye use hota hai.Hum Without MVC bhi develop kar skte hai but isse bht complexions aa jayegi web pages mein .MVC use karne se complexions kam hoti hai aur work load bhi . Isse jydatar sabhi jitne bhi hum varibales lete hai sabki table automatic create ho jati hai .
MVC use karne ke liye hum frameworks ka use krte hai
1.Codeigniter
2. Laravel
Web apps develop karne ke liye HTML,Javascript,Css, Angular js , Node js aana chaiye.
Angular js aur Node.js ye ek framework hai client side MVC use karne ke liye .
Code Igniter or Laravel se Server Side MVC par use hota hai.
Angular.js  aur Node.js use karne ke liye javascript aani chaiye.



Before starting it we have to understand some topics or terms like servers, client machine,Database,online hosting,web apps.

Client Machine and Servers

Client Machine :- Iska mtlab hai jis Computer par application run hogi,use machine ko hum client machine kahte hai aam words mein aur jis machine par user kaam karta hai (user-> end user).
Php files hamesha servers par run hoti hai aap in files ko normal html files ki trh nahi use kar skte iske liye aapke pass server hona jaruri hai .Server pe php ki files upload hone ke baad hi aap unhe chla skte hai .
Server use krne ek 3 ways hai 
1. Apna server khridna 
2. Server ko Rent pe lena 
3. Apni Machine ko as a local server use krna 

Tino  ke apne faide aur nuksaan hai (pros and cons)
Jab aap ko Online kisi official kaam ye koi aisa kaam jise aapko remotly access karna padta hai tab aap server rent par le skte hai khrid skte hai . Apna server  khridne pe aapko data share nahi krna pdta
Jabki aapko Rented server mein data share krna pdta hai.Aap Apne pc ko bhi as local server use kar skte hai.
Apne pc mein server eg. Apache install  kar ke .Uske liye kaafi saare software aate hai
eg.Xampp,Wampp,LAMP
Inhe aap download karein aur use karein.
Apache server muptiple site ko host krta hai virtually kyunki jab aap koi server rent pe lete hai to koi saste plan wla to aapko useim sirf ek hi website host krne ke liye milti hai.


Database 

Database ka mtlb hai jahan data store ho raha hai . Database ko hum backend kahte hai database mein structured or unstructured database hota hai. Database ke liye MySQL,Oracle 10g, Sql Server use krte hai. MySQL  free hai .SQL acronym hai Structured query language ka. SQL mein data tables ke form mein store hota hai.
Unstructured mein data tables mein store nahi hota. eg.MongDB ye ek unsturcted database ka type hai .

Online Hosting

Online hosting doston ek trike ke Cloud apps ka hi part hai.Ismein company apne servers provide karvati hai . Hosting main companies server aur us site ka access provide krvati hai.
jab bhi koi user us site ka url type krta hai to vo url ip add. mein convert hokar server par jata hai jisse ve server us requested file ko open krta hai.
eg. 000webhost.com etc.

No comments:

Post a Comment